un kī aamad hai gul-fishānī hai
rañg-e-ḳhushbū kī mezbānī hai
kaisī hogī na jaane shām-e-umr
sub.h jab aisī sar-girānī hai
maut kā kuchh pata nahīñ lekin
zindagī sirf nauha-ḳhvānī hai
marne vaalā hai markazī kirdār
āḳhirī moḌ par kahānī hai
ḳhud-kushī jaisī koī baat nahīñ
ik zarā mujh ko bad-gumānī hai
ye jo bārūd hai havāoñ meñ
aag thoḌī sī bas lagānī hai
us kā likkhā hī jī rahā huuñ maiñ
us kī bābat hī ye kahānī hai