bujhe laboñ pe tabassum ke gul sajātā huā
mahak uThā huuñ maiñ tujh ko ġhazal meñ laatā huā
ujaaḌ dasht se ye kaun aaj guzrā hai
ga.ī rutoñ kī vahī ḳhushbueñ luTātā huā
tumhāre hāthoñ se chhuT kar na jaane kab se maiñ
bhaTak rahā huuñ ḳhalāoñ meñ TimTimātā huā
nigal na jaa.e kahīñ be-ruḳhī mujhe terī
ki ro paḌā huuñ maiñ ab ke tujhe hañsātā huā
tū shāhzādī mahakte hue ujāloñ kī
maiñ ek ḳhvāb añdheroñ kī choT khātā huā
mirā badan ye kisī barf ke badan sā hai
pighal na jā.ūñ maiñ tujh ko gale lagātā huā
tumhārī āñkhoñ kā paanī kahīñ na ban jā.ūñ
maiñ Dar rahā huuñ bahut dāstāñ sunātā huā