Alok Mishra

phir teri yaadon ki phunkaron ke bich

Alok Mishra

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1985
phir tirī yādoñ kī phunkāroñ ke biich
nīm-jāñ hai raat yalġhāroñ ke biich
ūñghtā rahtā hai aksar māhtāb
raat bhar ham chand be-dāroñ ke biich
gūñjtī rahtī hai mujh meñ dam-ba-dam
chīḳh jo ubhrī na kohsāroñ ke biich
dekhtā āḳhir maiñ us ko kis tarah
raushnī kī tez bauchhāroñ ke biich
kho hī jaatā huuñ tire qisse meñ maiñ
bārhā gumnām kirdāroñ ke biich
ek adnā sā diyā hai āftāb
mere man ke gahre añdhiyāroñ ke biich
qaid se apnī nikalte kyuuñ nahīñ
zaḳhm kab bharte haiñ dīvāroñ ke biich
sānehe chhapne lage haiñ āñkhoñ meñ
nabz tham jaa.e na aḳhbāroñ ke biich
thā mahāvaT aur phir juḌvāñ bahāv
bah gayā maiñ gungune dhāroñ ke biich
Top Urdushayar.com