majbūrī lāchārī likh
haañ rūdād hamārī likh
ġhairoñ ko ilzām na de
apnoñ kī ayyārī likh
soch jo halkī hai to kyā
ġhazleñ bhārī bhārī likh
aib na ginvā auroñ ke
apnī ''kār-guzārī'' likh
pahle jhūTe va.ade kar
phir apnī lāchārī likh
chāhe haqīqat kuchh bhī ho
apnā palḌā bhārī likh
ujḌe ghar ke āñgan meñ
harī-bharī phulvārī likh
har mansab har ohde par
apnī da.ave-dārī likh
māt-pitā ko de ban-vās
ḳhud ko āgyā-kārī likh
'chāñd' kī ḳhaslat meñ yārab
kuchh to duniyā-dārī likh