Alok Mishra

zara bhi kaam na aaega muskurana kya

Alok Mishra

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1985
zarā bhī kaam na aa.egā muskurānā kyā
tanā rahegā udāsī kā shāmiyāna kyā
maiñ chāhtā huuñ takalluf bhī tark kar do tum
nahīñ haiñ ab vo marāsim to ānā-jānā kyā
tamām tīr-o-tabar kyā mire liye hī haiñ
mujhī pe lagnā hai duniyā kā har nishāna kyā
unhīñ ko chiir ke baḌhnā hai ab kināre par
utar ga.e haiñ to lahroñ se ḳhauf khānā kyā
yuuñ apnī zaat ke dar par khaḌe ho kab se tum
ki apne ghar bhī hai āvāz de ke jaanā kyā
Top Urdushayar.com