dil par kisī kī baat kā aisā asar na thā
pahle maiñ is tarah se kabhī dar-ba-dar na thā
chāroñ taraf the dhuup ke jañgal hare-bhare
sahrā meñ koī mere alāva shajar na thā
taare bhī shab kī jhiil meñ ġharqāb ho ga.e
merī udāsiyoñ kā koī ham-safar na thā
furqat kī aañch thī na tirī yaad kī tapish
dil sard paḌ rahā thā kahīñ ik sharar na thā
kal shab na jaane kaun se ġham the ufaan par
ashkoñ se is qadar maiñ kabhī tar-ba-tar na thā