jaane kis baat se dukhā hai bahut
dil ka.ī roz se ḳhafā hai bahut
sab sitāre dilāsa dete haiñ
chāñd rātoñ ko chīḳhtā hai bahut
phir vahī raat mujh meñ Thahrī hai
phir samā.at meñ shor sā hai bahut
tum zamāne kī baat karte ho
merā mujh se bhī fāsla hai bahut
us kī dukhtī naseñ na phaT jaa.eñ
dil musalsal ye sochtā hai bahut
vāsta kuchh zarūr hai tum se
tum ko vo shaḳhs pūchhtā hai bahut
tum se bichhḌā to TuuT jā.egā
us kī āñkhoñ meñ hausla hai bahut
chakh ke dekho ise kabhī tum bhī
is udāsī meñ zā.iqa hai bahut
in kī sāñseñ ginī-chunī haiñ bas
ḳhuun lamhoñ kā bah gayā hai bahut
dasht ko kar liyā thā ghar maiñ ne
ab mujhe ghar ye kāTtā hai bahut
is se bāhar nikal na pāoge
dasht maazī kā ye ghanā hai bahut
merā sukh dukh samajhtī haiñ ġhazleñ
zindagī ko ye aasrā hai bahut