vo be-asar thā musalsal dalīl karte hue
maiñ mutma.in thā ġhazal ko vakīl karte hue
vo mere zaḳhm ko nāsūr kar ga.e āḳhir
maiñ pur-umīd thā jin se appeal karte hue
ajiib ḳhvāb thā āñkhoñ meñ ḳhuun chhoḌ gayā
ki niiñd guzrī hai mujh ko zalīl karte hue
sabab hai kyā ki maiñ sairāb huuñ sar-e-sahrā
judā huā thā vo āñkhoñ ko jhiil karte hue
marā huā maiñ vo kirdār huuñ kahānī kā
jo jī rahā hai kahānī tavīl karte hue