Alok Mishra

chalte hain ki ab sabr bhi itna nahin rakhte

Alok Mishra

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1985
chalte haiñ ki ab sabr bhī itnā nahīñ rakhte
ik aur na.e dukh kā irāda nahīñ rakhte
bas ret sī uḌtī hai ab us rāhguzar par
jo peḌ bhī milte haiñ vo saaya nahīñ karte
kis taur se āḳhir unheñ tasvīr kareñ ham
jo ḳhvāb azal se koī chehra nahīñ rakhte
ik baar bichhaḌ jaa.eñ to DhūñDhe na mileñge
ham rah meñ kahīñ naqsh-e-kaf-e-pā nahīñ rakhte
phir sulh bhī tum bin to kahāñ honī thī ḳhud se
so rabt bhī ab ḳhud se ziyāda nahīñ rakhte
us moḌ pe rūThe ho tum ai dost ki jis par
dushman bhī koī rañj purānā nahīñ rakhte
kyā soch ke zinda haiñ tire dasht meñ ye log
āñkhoñ meñ jo ik ḳhvāb kā TukḌā nahīñ rakhte
Top Urdushayar.com