Mahendra Partap Chand

fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe

Mahendra Partap Chand

Karor Lal Esan, Punjab, Pakistan

1935
fareb-e-nau ke bhañvar meñ utārtā hai mujhe
ye kaun pichhle pahar phir pukārtā hai mujhe
shikasta-hāl huuñ rañj-o-alam se chuur huuñ maiñ
nigāh-e-lutf se ab kyā sañvārtā hai mujhe
nazar ye apnī chaḌhātā huuñ jis qadar us ko
usī qadar vo nazar se utārtā hai mujhe
maiñ kab kā Duub chukā huuñ use ḳhabar hī nahīñ
jo sāhiloñ se abhī tak pukārtā hai mujhe
usī kī yaad hai merī hayāt kā hāsil
jo be-niyāz taġhāful se mārtā hai mujhe
maiñ sulh-o-amn kā shaidā.ī huuñ mire rahbar
fasād-o-fitna pe tū kyuuñ ubhārtā hai mujhe
milā hai muddatoñ ke ba.ad kuchh ġharaz hogī
kis inkisār se dekho nihārtā hai mujhe
use maiñ ḳhaas karam meñ shumār kartā huuñ
jo tū marāhil-e-ġham se guzārtā hai mujhe
vo chāhtā hai guhar-yāb ho ke ubhrūñ maiñ
samundaroñ kī jo tah tak utārtā hai mujhe
punam kī raat kā ye faiz nūr-afshāñ 'chāñd'
kisī hasīn ḳhatā par ubhārtā hai mujhe
Top Urdushayar.com