Mahendra Partap Chand

roz-o-shab aur nae arz-o-sama mange hai

Mahendra Partap Chand

Karor Lal Esan, Punjab, Pakistan

1935
roz-o-shab aur na.e arz-o-samā māñge hai
aaj kā daur na.ī āb-o-havā māñge hai
apnī bechārgī kī yuuñ to hai ehsās bahut
phir bhī dil tujh se vahī ahd-e-vafā māñge hai
dhuup meñ jhulsī huī shāḳh pe afsurda kalī
phuul banñe ke liye dast-e-sabā māñge hai
har koī yuuñ to hai bar-gashta-e-hālāt magar
har koī jiine kī har lahza duā māñge hai
aah vo vālid-e-be-zar kī javāñ beTī ke
suune hāthoñ ke liye rañg-e-hinā māñge hai
ye na.e taur ye andāz mujhe raas nahīñ
merī tahzīb vahī sharm-o-hayā māñge hai
saiñkaḌoñ ne.amatoñ se us ne navāzā hai tujhe
aur ab 'chāñd' tū allāh se kyā māñge hai
Top Urdushayar.com