kar chuke nauhe bahut guzre zamāne ke liye
kuchh na.e shahroñ ke dukh bhī haiñ sunāne ke liye
is tarah tezī se bhāgā jā rahā hai har koī
jaise chhupnā ho kahīñ ḳhud ko bachāne ke liye
ek lamhe ke liye bhī ḳhud se ham na mil sake
zindagī thī shahr vāloñ ko dikhāne ke liye
thī ḳhabar sastī milegī aaj nafrat us jagah
ḳhalq TuuTī hai muqaddar āzmāne ke liye
kaun suntā thā nagar ke shor meñ dhīmī sadā
dil se uThtī thiiñ navā.eñ Duub jaane ke liye