ye aañsū rok rakhe haiñ ba-mushkil din guzāre haiñ
tumheñ dikhte nahīñ haiñ jo sabhī vo ġham tumhāre haiñ
khulī zulfeñ hañsī chehra tumhārī jhiil sī āñkheñ
hameñ pāgal na kar deñ ye bahut dilkash nazāre haiñ
hamārī uñgliyoñ se aaj tak ḳhushbū nahīñ jaatī
kisī ke reshmī gesū kabhī itne sañvāre haiñ
kise vishvās hogā ham milan-taT chhū nahīñ paa.e
rahe nazdīk yuuñ jaise nadī ke do kināre haiñ
muhājir ho gayā huuñ dev kuchh majbūriyoñ ḳhātir
javāñ hone lage bachche bahut ḳharche hamāre haiñ