ye āñkheñ raah taktī haiñ tumheñ ye man bulātā hai
chale aao tumheñ suunā mirā āñgan bulātā hai
barastī roz haiñ āñkheñ ye bārish hī nahīñ ruktī
tumheñ bhīge hue ashkoñ kā ye dāman bulātā hai
jahāñ peñgeñ baḌhāte the shajar vo yaad karte haiñ
vo jhūle pūchhte haiñ ab tumheñ sāvan bulātā hai
gulistāñ jab se ujḌā hai bahāreñ bhī nahīñ lauTīñ
fazā āvāz detī hai tumheñ upvan bulātā hai
dar-o-dīvār aur rāheñ sabhī sadme meñ rahte haiñ
sañvarte the jahāñ pahle vahī darpan bulātā hai
chale aao ki ab tanhā.iyāñ jiine nahīñ detīñ
tumheñ ujḌe hue dil kā ye sūnā-pan bulātā hai