ash.ār kī taḳhlīq meñ jaltā hai jigar kyuuñ
yārab mujhe baḳhshā hai ye jāñ-soz hunar kyuuñ
ġham ishq kī sauġhāt hai siine se lagā le
phūloñ kī tamannā hai to kāñToñ se hazar kyuuñ
kuchh had se sivā haiñ mire ġham-ḳhvār vagarna
rahtī hai mire haal pe yāroñ kī nazar kyuuñ
kal jis ko sar āñkhoñ par biThātā thā zamāna
baiThā hai sar-e-rāh vo ab ḳhāk-basar kyuuñ
aariz ke gulāboñ pe udāsī kī ye shabnam
namnāk haiñ āñkheñ tirī aaj ai gul-e-tar kyuuñ
phir kaun gayā pichhle pahar bazm se uTh kar
phir sog kā aalam hai ye hañgām-e-sahar kyuuñ
patthar ke sivā 'chāñd' yahāñ kuchh na milegā
baiThā hai sajā.e hue shīshoñ kā tū ghar kyuuñ