diloñ meñ koī havas koī aarzū bhī nahīñ
maiñ sab luTā chukā ab fikr-e-ābrū bhī nahīñ
zamāñ-makāñ se guzar kar huuñ ālam-e-hū meñ
safar tamām huā shauq-e-justujū bhī nahīñ
tire ḳhayāl kī sar-mastiyāñ dimāġh meñ haiñ
ye vo nasha hai ki minnat-kash-e-subū bhī nahīñ
vo band āñkhoñ meñ rah rah ke jagmagātā hai
namāz-e-ishq meñ pābandī-e-vuzū bhī nahīñ
lahū badan meñ jo hotā to kuchh Tapaktā bhī
dahān-e-zaḳhm ko ab hājat-e-rafū bhī nahīñ
'shamīm' le ke kahāñ aa.ī zindagī mujh ko
ajiib shahr hai hamdam kahāñ adū bhī nahīñ