utar ke dhuup jab aa.egī shab ke ziine se
uḌegī ḳhuun kī ḳhushbū mire pasīne se
maiñ vo ġharīb ki huuñ chand be-sadā alfāz
adā huī na koī baat bhī qarīne se
guzishta raat bahut jhuum ke ghaTā barsī
magar vo aag jo lipTī huī hai siine se
lahū kā chīḳhtā dariyā dhyān meñ rakhnā
kisī kī pyaas bujhī hai na os piine se
vo saañp jis ko bahut duur dafn kar aa.e
palaT na aa.e kahīñ vaqt ke dafīne se
diloñ ko mauj-e-balā raas aa ga.ī shāyad
rahī na koī shikāyat kisī safīne se
vajūd shola-e-sayyāl ho gayā hai 'shamīm'
uThī hai aañch ajab dil ke ābgīne se