tum mire paas raho jism kī garmī baḳhsho
sard hai raat bahut ghar se na bāhar niklo
dūdhiyā chāñdnī bistar pe kahāñ se aa.ī
phir koī chāñd na niklā ho galī meñ dekho
sar pe kab kaun kahāñ sañg-e-malāmat maare
pārsāoñ se pare kalba-e-ahzāñ meñ raho
koī bhoñrā na kahīñ phuul kā ras pī jaa.e
apnī mad.hosh nigāhoñ ke darīche kholo
jaane kis manzil-e-be-nām kī jānib niklūñ
apnī tanhā.ī se Dartā huuñ mire saath raho
barf ik roz pahāḌoñ kī pighal jā.egī
sard-mehrī-e-zamāna kī shikāyat na karo
kitnī biitī huī sadiyoñ kī kahānī huuñ 'shamīm'
mere chehre kī ye bigḌī huī tahrīr paḌho