phuul ḳhushbū shaam sāvan shaġhl-e-paimāna chale
jis ko chalnā hai hamāre saath mai-ḳhāna chale
yuuñ chale lahrā ke jaise mauj bal khaa.ī huī
yā sahāb-e-mast jaise chaal mastāna chale
zulf sumbul phuul lab ruḳhsār par rañg-e-shafaq
juñbisheñ āñkhoñ kī palkoñ meñ ki paimāna chale
us se kah do pattharoñ ke but meñ Dhal jā.eñge sab
ab na ye jādu-e-chashm-e-mai-e-faroshāna chale
shukriya ahbāb kā jin kī mohabbat ke tufail
mujh se kuchh aage hī aage merā afsāna chale
is galī meñ 'mīr' kā ham-sar na aayā phir 'shamīm'
vo jo qātil ko duā de kar faqīrāna chale