Syed Ahmed Shameem

kal mujhe dekh ke tha aaina chaunka jaise

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
kal mujhe dekh ke thā aa.ina chauñkā jaise
mere chehre meñ chhupā ho koī chehra jaise
ham-kalāmī bhī miTātī nahīñ duurī kī ḳhalīj
beach se TuuT gayā dard kā rishta jaise
lahr halkī sī fazāoñ meñ jo ubhrī Duubī
dard kī shāḳh se TuuTā koī pattā jaise
kitne bikhre hue ḳhvāboñ kā khañDar lagtā hai
vaqt ne de diyā us shaḳhs ko dhokā jaise
dil ko chhūtī huī yuuñ dard kī lahreñ guzrīñ
phir koī jhiil meñ lagtā hai ki Duubā jaise
yuuñ har ik fard-e-tahayyur kī hai tasvīr 'shamīm'
shahr meñ rāsta bhūlā huā bachcha jaise
Top Urdushayar.com