Syed Ahmed Shameem

jab safar ko maine thama tha ye andha rasta

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
jab safar ko maiñ ne thāmā thā ye andhā rāsta
aaj rotā hai magar qadmoñ se lipTā rāsta
tairtī phirtī haiñ chāroñ samt rañgīñ titliyāñ
TeḌhā TeḌhā ūñchā nīchā giilā kachchā rāsta
kaun suntā thā kisī kī koī kyā kahtā vahāñ
mere kāñdhe pe safar thā maiñ ne pakḌā rāsta
vo jo guzrā thā yahāñ se kyā pata lauTe kabhī
kyā ḳhalā meñ tāktā rahtā hai tanhā rāsta
mujh ko jaltī aag miltī tum ko ThanDā āb-e-jū
apnī apnī justujū hai apnā apnā rāsta
resha resha zaḳhm thā lauTā safar se jab 'shamīm'
aur mujh se bhī ziyāda hāñptā thā rāsta
Top Urdushayar.com