tire ḳhayāl ne ehsān lā-javāb kiyā
nafas nafas ko mire vaqf-e-iztirāb kiyā
adū kā harf-e-malāmat banā mirī shohrat
usī ne ḳhaak ke zarre ko āftāb kiyā
tirī nazar ko nazar lag na jaa.e duniyā kī
bhare jahāñ meñ jo merā hī intiḳhāb kiyā
qadam qadam pe rahī justajū-e-nām-o-numūd
isī havas ne hameñ umr-bhar ḳharāb kiyā
azal ke din se añdhere mirā muqaddar the
tirī nazar ne mujhe rashk-e-māhtāb kiyā
gilā kiyā thā taġhāful kā 'chāñd' kyuuñ us se
tujhī ko ashk-e-nadāmat ne aap aab kiyā