aaj kā din bhī guzar jā.egā
qāfila lauT ke ghar jā.egā
raah kaTtī hī nahīñ hai apnī
saath kab tak ye safar jā.egā
zaḳhm taaza hai to dil dukhtā hai
vaqt ke saath ye bhar jā.egā
aazmā gardish-e-daurāñ tū bhī
ā.īna aur sañvar jā.egā
bhāgte dauḌte lamhoñ kā safar
kab achānak hī Thahar jā.egā
sub.h khiltā huā har phuul 'shamīm'
shaam aa.ī to bikhar jā.egā