vo aur kuchh nahīñ ik tarz guftugū kī thī
kahā ye kis ne kabhī terī aarzū kī thī
kabhī bhī apnī tabī.at na jañg-jū kī thī
vahāñ anā kī nahīñ baat aabrū kī thī
jo zaḳhm thā to zarā ḳhuun hī Tapaktā thā
jalan tamām tire sozan-e-rafū kī thī
tirā jamāl thā yā thā tilism-e-hosh-rubā
lalak ajiib se mujh meñ bhī justujū kī thī
samundaroñ kā vo ġhussa thā yā zamīñ kā itaab
tamām shorish-e-tūfāñ mire lahū kī thī
gumāñ gumāñ hai gumāñ hī rahe to achchhā hai
sadā-e-qulqul-e-mīnā talab subū kī thī
dahān-e-zaḳhm kahāñ thā 'shamīm' kyā ma.alūm
lahū uchhāl kī shiddat rag-e-gulū kī thī