yahāñ jo kuchh hai husn-e-lā-makāñ ke mā-sivā kyā hai
magar jalva hī jalva hai to merā aa.ina kyā hai
tū hī shah-e-rag meñ rahtā hai to hī mauj-e-nafas meñ hai
to phir batlā ki mā-o-tū meñ itnā fāsla kyā hai
mashām-e-jāñ meñ kaisī ḳhushbuoñ kī aaj bārish hai
chhupā.e apne dāman meñ ḳhudā jaane sabā kyā hai
ham aise saḳht-jānoñ kā bahut mushkil hai mar jaanā
sivā-e-zindagī ke aur koī rāsta kyā hai
na jaane jañgaloñ meñ apne kaisī aag ugtī hai
ujāloñ kā sar-e-kohsār jagmag silsila kyā hai
yahī hairat hai kaise daur maiñ jiinā paḌā mujh ko
samajh meñ kuchh nahīñ aatā bhalā kyā hai burā kyā hai
'shamīm' achchhā kiyā ki aap ne sab kuchh bhulā Daalā
magar rah rah ke dil meñ gūñjtī pichhlī sadā kyā hai