Syed Ahmed Shameem

tha aaine ke samne chehra khula hua

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
thā ā.īne ke sāmne chehra khulā huā
paanī pe jaise chāñd kā saaya paḌā huā
ghultī ga.ī badan meñ tamāzat sharāb kī
sāġhar nigāh kā thā labālab bharā huā
kal raat thoḌī der ko palkeñ jhapak ga.iiñ
jaagā to joḌ joḌ thā apnā dukhā huā
shāyad ki so ga.e haiñ bahut thak ke dil-jale
shahr-e-junūñ tamām hai suunā paḌā huā
tahzīb DhūñDhtī hai kisī irtiqā kī shakl
iqbāl-mandiyoñ kā hai sūraj Dhalā huā
dil kā vajūd ġham ke andhere meñ kho gayā
jaise kisī mazār kā katba miTā huā
kāñdhe pe Dho rahā huuñ ga.e vaqt kī salīb
kāñToñ kā taaj sar pe hai apne rakhā huā
ġharqāb ho na jaa.e kahīñ zabt kā jahāñ
phir aaj dard-e-dil kā hai dariyā chaḌhā huā
hālat na ab 'shamīm' kī pūchho ki vo ġharīb
hogā kisī galī meñ tamāshā banā huā
Top Urdushayar.com