Syed Ahmed Shameem

ek jag bit gaya jhum ke aae baadal

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
ek jag biit gayā jhuum ke aa.e bādal
vo samundar hī kahāñ hai jo uThā.e bādal
na kabhī TuuT ke barse na ye māyūs kare
duur hī duur se āñkhoñ lubhā.e bādal
raat aa.ī ki kahīñ aap ne khole gesū
dosh par shoḳh havāoñ ke jo aa.e bādal
ye zamīñ chīḳhtī rahtī hai ki paanī paanī
koī tūfāñ koī sailāb hī laa.e bādal
mere sar par to sadā dhuup ke neze chamke
vo musāfir maiñ kahāñ huuñ ki jo paa.e bādal
kho ga.e jaane kahāñ tund havāoñ ke baġhair
ek muddat se hai sūraj ko chhupā.e bādal
megh malhār kī lai aag ugātī hai 'shamīm'
pichhlī barsāt kī phir yaad dilā.e bādal
Top Urdushayar.com