Syed Ahmed Shameem

mere hisse mein be-dili aai

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
mere hisse meñ be-dilī aa.ī
maut aa.ī na zindagī aa.ī
koī manzar khulā na āñkhoñ meñ
jo bhī rut aa.ī shabnamī aa.ī
lahr sī duur tak uThī dil meñ
aaj phir yaad aap kī aa.ī
koī lamha chamak uThā shāyad
varna āñkhoñ meñ kyuuñ namī aa.ī
aa.ina dekhā dekh kar royā
ḳhud ko sochā to phir hañsī aa.ī
ab to har shahr shahr-e-maqtal hai
jo huā aa.ī chīḳhtī aa.ī
āgahī kar ga.ī bahut gumrāh
kaam aa.ī to āshiqī aa.ī
shab bulātī hai vahshatoñ ko 'shamīm'
kyā qayāmat kī chāñdnī aa.ī
Top Urdushayar.com