Syed Ahmed Shameem

jagte mein raat mujhko KHwab dikhlaya gaya

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
jāgte meñ raat mujh ko ḳhvāb dikhlāyā gayā
ban ke shāḳh-e-gul mirī āñkhoñ meñ lahrāyā gayā
jo masak jaa.e zarā sī ek nok-e-harf se
kyuuñ mujhe aisā libās-e-jism pahnāyā gayā
apne apne ḳhauf-ghar meñ log haiñ sahme hue
dā.ere se khīñch kar nuqte ko kyuuñ laayā gayā
ye mirā apnā badan hai yā khañDar ḳhvāboñ kā hai
jaane kis ke haath se aisā mahal Dhāyā gayā
baḌh chalī thī mauj apnī had se lekin tham ga.ī
us ne ye samjhā thā ki patthar ko pighlāyā gayā
raat ik miinā ne chūmā thā lab-e-sāġhar 'shamīm'
baat bas itnī thī jis ko ḳhuub phailāyā gayā
Top Urdushayar.com