Syed Ahmed Shameem

kis tarah zinda rahenge hum tumhaare shahr mein

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
kis tarah zinda raheñge ham tumhāre shahr meñ
har taraf bikhre hue haiñ māh-pāre shahr meñ
jagmagātī raushnī meñ ye nahāte sīm-tan
jaise utre hoñ zamīñ par chāñd taare shahr meñ
misl-e-ḳhushbu-e-sabā phailī huī hai har taraf
gesu-e-bañgāl kī ḳhushbū hamāre shahr meñ
husn vāloñ ke sitam sah kar bhī ham zinda rahe
varna kitnoñ ke hue haiñ vaare nyāre shahr meñ
ye matā-e-pārsā.ī bhī na luT jaa.e kahīñ
de rahe haiñ dāvat-e-laġhzish nazāre shahr meñ
lahlahāte khet naddī gaañv kī pyārī havā
chhoḌ kar bekār aa.e ham tumhāre shahr meñ
apne hī zauq-e-jamāl-o-husn ke hāthoñ 'shamīm'
aaj ham badnām āvāra haiñ saare shahr meñ
Top Urdushayar.com