dho ga.ī chehroñ se gard yaas kā ġhāza havā
kar ga.ī afsurda rūhoñ ko tar-o-tāza havā
laakh baiThūñ chhup kar apne band kamroñ meñ magar
toḌ kar aa jā.egī ek ek darvāza havā
sub.h āñchal kī havā de kar khilātī hai jise
shab ko bikhrātī hai ḳhud us gil kā shīrāza havā
bhar chale the zaḳhm jo phir se lage muñh kholne
kuchh purāne dard le kar aa.ī hai taaza havā
jī tarastā hai phir un lamhoñ ko jab yakjā the sab
raqs-e-mai bū-e-saman rañg-e-shafaq taaza havā
ham to apnī ḳhāna-vīrānī kā mātam kar chuke
dekh kar jā kar ab tū koī aur darvāza havā
vo latāfat vo mahak kyuuñ 'chāñd' yaksar kho ga.ī
bhar rahī hai kin ḳhatāoñ kā ye ḳhamyāza havā