Syed Ahmed Shameem

samne ho mai-kada aur mai se begana rahe

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
sāmne ho mai-kada aur mai se begāna rahe
ye fareb-e-hosh-mandī hosh-mandāna rahe
vo gadā ho kar bhī duniyā meñ amīrāna rahe
multafit jis par tirī chashm-e-karīmāna rahe
vus.at-e-sahrā bhī jab ho tañg is ke sāmne
shahr kā pāband kaise koī dīvāna rahe
dāstān-e-shauq hai apne lahū se lāla-rañg
har zamāne meñ hamīñ unvān-e-afsāna rahe
koī aa.e yā na aa.e farq kyā hai ishq meñ
husn kī yādoñ se raushan dil kā kāshāna rahe
sab harīs-e-chashm-e-bāda-rez is mahfil meñ the
ham khulī dāvat bhī pā kar be-niyāzāna rahe
dil kī duniyā se koī baḌh kar nahīñ duniyā 'shamīm'
faḳhr us ke vāste hai jo faqīrāna rahe
Top Urdushayar.com