Syed Ahmed Shameem

unchi nichi pech khati dauDti kali saDak

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
ūñchī nīchī pech khātī dauḌtī kaalī saḌak
kitne sote jāgte fitnoñ kī hai vaalī saḌak
raat kī gahrī ḳhamoshī TimTimātī raushnī
ek maiñ tanhā musāfir dūsrī ḳhālī saḌak
aate jaate laakh qadmoñ ke nishāñ ubhre magar
aaj bhī chiknī nazar aatī hai matvālī saḌak
sab ke sab raahī musāfir manziloñ tak jā chuke
hai magar hadd-e-nazar ab naqsh-e-pāmālī saḌak
pī chukī sab aam kī ḳhushbū ko bū petrol kī
shahr se aa.ī liye kaisī ye ḳhush-hālī saḌak
us ke saare pech-o-ḳham kā rāz-dāñ huuñ maiñ 'shamīm'
dāstāñ rakhtī hai tafsīlī ye ijmālī saḌak
Top Urdushayar.com