Syed Ahmed Shameem

shiddat-e-jazb mein jab aalam-e-hu bolta hai

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
shiddat-e-jazb meñ jab ālam-e-hū boltā hai
mai-e-gul-rañg chhalaktī hai subū boltā hai
dil kā ā.īna khulā ho to sukūt-e-shab meñ
maiñ bayāñ kartā huuñ ḳhud ko kabhī tū boltā hai
jagmagā uThtā hai dam-bhar meñ chaman-zār-e-ḳhayāl
chāñd pahlū meñ utar kar lab-e-jū boltā hai
mausam-e-barf meñ har raat guzartī hai magar
gāhe-gāhe sahī ḳhvābīda lahū boltā hai
kyuuñ darīda hai badan kyā kahūñ kis se bolūñ
maiñ kahūñ yā na kahūñ tār-e-rafū boltā hai
dast-e-qātil kā hunar laakh chhupā.e lekin
āb-e-ḳhanjar na sahī zaḳhm-e-gulū boltā hai
lazzat-e-sajda atā hone se pahle hī 'shamīm'
har bun-e-mū se mirā āb-e-vuzū boltā hai
Top Urdushayar.com