ye jādū-e-jamāl kisī dīda-var se pūchh
ā.īna kyā batā.egā merī nazar se pūchh
iz.hār-e-dard merī zabāñ se na ho sakā
ai shoḳh dil kā haal mirī chashm-e-tar se pūchh
ahd-e-bahār meñ bhī gulāboñ ke kyuuñ haram
mismār ho rahe haiñ nasīm-e-sahar se pūchh
vahshat meñ bhī kiyā huā kyā kyā nahīñ huā
kuchh apnī rahguzār se kuchh sañg-e-dar se pūchh
shām-e-visāl dost kahāñ kho ga.ī 'shamīm'
vīrānī-e-hayāt kī is dopahar se pūchh