Qurban Aatish

naya lahja naya manzar naya pindar ho paida

Qurban Aatish

nayā lahja nayā manzar nayā pindār ho paidā
mire naġhmoñ se aisī raunaq-e-gulzār ho paidā
yahī thā maslahat-andesh mausam kā taqāzā kyā
sadā-e-ḳhāmushī se ik na.ī guftār ho paidā
bikhar jaatā hai sab shīrāza-e-amn-o-sukūñ āḳhir
agar bastī meñ koī aadmī ḳhūñ-ḳhvār ho paidā
kahāñ bardāsht ho saktā hai ye mujh se kisī sūrat
samar pakne se pahle hī koī haqdār ho paidā
hamesha chheḌtā huuñ saaz apne kohna zaḳhmoñ kā
mire dil ke bayābāñ meñ koī gulzār ho paidā
yahī maiñ chāhtā huuñ ai ġhazāla dasht-o-sahrā meñ
ki ab mere junūñ se garmī-e-bāzār ho paidā
mazāmīñ ġhaib se aate nahīñ 'ātish' to kyā kachche
kahāñ se sher koī bhī mirā tah-dār ho paidā
Top Urdushayar.com