Mahendra Partap Chand

tariq-e-ishq mein barbaad hona paDta hai

Mahendra Partap Chand

Karor Lal Esan, Punjab, Pakistan

1935
tarīq-e-ishq meñ barbād honā paḌtā hai
guloñ kī chaah meñ kāñToñ pe sonā paḌtā hai
bas ek lamha-e-rāz-o-niyāz kī ḳhātir
bashar ko muddatoñ chhup-chhup ke ronā paḌtā hai
zamīr bech ke mansab to mil hī jā.egā
vaqār pahle magar is meñ khonā paḌtā hai
hai bad-lihāz ye duniyā koī kahāñ jaa.e
qadam qadam pe yahāñ ḳhvār honā paḌtā hai
ye fāqa-kash ki jinheñ haif ḳhud-farebī meñ
shikam kī serī ko paanī bilonā paḌtā hai
ma.āshre kā ho nāsūr yā badan kā ghaav
ilaaj ke liye nashtar chubhonā paḌtā hai
pasāre haath to phirte ho māl-o-zar ke liye
bil-āḳhir un se magar haath dhonā paḌtā hai
parā.e dard meñ hotā nahīñ sharīk koī
ġhamoñ ke bojh ko ḳhud aap Dhonā paḌtā hai
ye sach hai 'chāñd' shagufta ġhazal jo kahnī ho
qalam ko ḳhūn-e-jigar meñ Dubonā paḌtā hai
Top Urdushayar.com