mujh ko zinda rahne kā ik jazba aa ke maar gayā
maiñ apnī sāñsoñ se āḳhir laḌte laḌte haar gayā
apnī nīndeñ apnī rāteñ apnī āñkheñ apne ḳhvāb
tum ko jītne kī ḳhātir meñ apnā sab kuchh haar gayā
jaisī chīzeñ mujh meñ thiiñ sab vaisī duniyā meñ bhī thiiñ
apne andar se maiñ bāhar āḳhir ko be-kār gayā
ishq ke is saude meñ mujh ko itnā bhī ma.alūm nahīñ
kitnī terī nafrat aa.ī kitnā merā pyaar gayā
yaad rakheñge duniyā vaale merī is qurbānī ko
pahle junūñ ko aam kiyā aur phir maiñ sū-e-dār gayā