āsmāñ tujh se kinārā kahīñ karnā hai mujhe
thak gayā uḌte hue aaj utarnā hai mujhe
apne zaḳhmoñ kī havā dī hai kisī sāhil ko
apne ashkoñ se samundar koī bharnā hai mujhe
chāñd kī naav huī raat ke sailāb meñ ġharq
phir se sūraj kī kiran ban ke ubharnā hai mujhe
yaad aatā hai bikhar jaanā mirī hastī kā
aur us zulf kā kahnā ki sañvarnā hai mujhe
ab ye lagtā hai ki maiñ ḳhud meñ simaT aayā huuñ
aa ke chhū le ki phir ik baar bikharnā hai mujhe