mas.ala huuñ maiñ sadā se kam-nigāhī ke liye
kaun uTThegā bhalā merī gavāhī ke liye
lauT aayā phir se vo tūfān sahrā kī taraf
shahr meñ baaqī na thā kuchh bhī tabāhī ke liye
aaj bhī maiñ terī āñkhoñ ke jazīroñ meñ panāh
DhūñDhtā phirtā huuñ apnī be-panāhī ke liye
dil ke dariyā meñ mirī yādoñ kī gahrā.ī talak
Duub ke aa.egā kaun ab ḳhair-ḳhvāhī ke liye
bolte rahne se ai 'shahzād' kuchh hāsil nahīñ
ḳhāmushī darkār hai is kaj-kulāhī ke liye