dekho firāq-e-yār meñ jaañ kho rahā hai vo
'shahzād' ko sambhālo bahut ro rahā hai vo
aa.e na.e jo zaḳhm to ye ruuh ne kahā
kuchh der baiTh jaao abhī so rahā hai vo
sahrā kī ḳhaak haq meñ mire kah rahī hai ye
jo honā chāhtā thā vahī ho rahā hai vo
pahle bhī ḳhālī haath thā hai ab bhī ḳhālī haath
aur kab se bār-e-sūd-o-ziyāñ Dho rahā hai vo
ai āsmāñ tū shukr adā us kā kījiyo
be-dil zamīñ ke siine meñ dil ho rahā hai vo
dekho kahāñ kise mile 'shahzād' dahr meñ
ham ne sunā hai ḳhud ko kahīñ kho rahā hai vo