jahāñ pe basnā hai mujh ko ab vo jahān ījād ho rahā hai
na.ī zamīñ aur ik nayā āsmān ījād ho rahā hai
kisī galī meñ sarā-e-fānī kī tum ko ab ham nahīñ mileñge
vo qarya-e-jāvedāñ meñ apnā makān ījād ho rahā hai
vo jald pahuñchegā tum talak tum sunānī apnī use sunānā
bas ek lamha ruko mirā tarjumān ījād ho rahā hai
tum ik kinārā ham ik kinārā zamāna āb-e-ravāñ ho jaise
ye fāsla ab hamāre hī darmiyān ījād ho rahā hai
badan se mere vo pūchhtī hai batāo āshiq kahāñ hai merā
dhaḌak ke dil ye javāb detā hai jaan ījād ho rahā hai
bahut chalāyā gayā hai ham ko ḳhabar ho is tez dhuup ko ab
hamārā dasht-e-tapāñ meñ ik sā.ebān ījād ho rahā hai