yuuñ apne dil ke bojh ko kuchh kam kiyā gayā
ahd-e-visāl-o-hijr pe mātam kiyā gayā
āñkhoñ se ḳhuuñ bahānā paḌā raat din mujhe
tab jā ke tere ġham ko kahīñ ġham kiyā gayā
kyā kam thā pahle darham-o-barham ai āsmāñ
jo aur mujh ko darham-o-barham kiyā gayā
chehrā tumhārā phuul kiyā apne ishq se
aur is pe phir pasīne ko shabnam kiyā gayā
aañsū kabhī malāl kabhī terā ġham kabhī
kyā kyā na mere zaḳhm kā marham kiyā gayā