tere liye maiñ baazī lagā.uñgī jaan kī
ye intihā hai tire bharam ke gumān kī
mujh pe lagā ke bandisheñ duniyā-jahān kī
ḳhud sair kar rahe ho miyāñ āsmān kī
dhandā kiye haiñ aap hī bārūd kā miyāñ
aur baat kar rahe haiñ jī amn-o-amān kī
bad-ḳhū-o-bad-zabān kaho be-adab kaho
tārīf meñ ai dosto har 'haq'-bayān kī