zabāñ kā paas hai to qaul sab nibhāne haiñ
agar mukarne pe aa.uuñ to sau bahāne haiñ
tīr-e-nigāh ke raste sabhī na.e haiñ magar
hamāre taur-tarīqe sabhī parā.e haiñ
na raas aa.ī hameñ aap kī adā koī
sitam hai us pe ki ham aap ke divāne haiñ
ye kyā ki hausla tum ne abhī se haar diyā
abhī to vaqt ne kuchh aur gul khilāne haiñ
siyāh-rāt kī tārīkiyāñ bajā lekin
navelī sub.h ke manzar ajab suhāne haiñ
har ik samt balāoñ kā ik hujūm sā hai
tamām hausle ab dil ko āzmāne haiñ
nayā to kuchh bhī nahīñ terī dāstāñ meñ 'chāñd'
vahī haiñ dard ke qisse vahī fasāne haiñ