yuuñ bāteñ to bahut saarī karoge
kaho kyā nāz-bardārī karoge
abhī bāteñ bahut pyārī karoge
magar kal kyā vafā-dārī karoge
sahāfī ho magar hoshyār rahnā
jo ghar meñ baat aḳhbārī karoge
mujhe ye shādmānī khal rahī hai
kab apnī yaad ko taarī karoge
badan ke ek ik kone meñ mere
kab apne lab se zar-kārī karoge
purāne zāviye se sher kah ke
kahāñ tak 'haq' ġhazal-kārī karoge