ik lafz-e-mohabbat ke bane laakh fasāne
tohmat ke bahāne kabhī shohrat ke bahāne
kis ko ye ḳhabar thī ki bikhar jā.eñge pal meñ
āñkhoñ ne sajā rakkhe the jo ḳhvāb suhāne
ik zaḳhm-e-judā.ī hai ki nāsūr banā hai
kartā huuñ tujhe yaad isī ġham ke bahāne
aqdār kā fuqdān havasnākī-o-vahshat
sab parde haTā rakkhe haiñ ab sharm-o-hayā ne
furqat kī shab-e-karb ke jaate hue lamho
kab lauT ke aaoge mujhe phir se rulāne
bhāne lagī jab dil ko zarā bazm kī raunaq
tanhā.ī mirī aa ga.ī phir mujh ko manāne
vo gul huuñ jo Thahrāyā gayā tañg-e-bahārāñ
pāmāl kiyā ḳhud hī jise bād-e-sabā ne
shākir huuñ maiñ har haal meñ rāzī-ba-razā huuñ
taskīn kī daulat mujhe baḳhshī hai ḳhudā ne
āzār-e-ġham-e-dil ko na honā thā shifāyāb
kuchh kaam kiyā 'chāñd' davā ne na duā ne