Mahendra Partap Chand

jazba-e-shauq ko is taur ubhaara jae

Mahendra Partap Chand

Karor Lal Esan, Punjab, Pakistan

1935
jazba-e-shauq ko is taur ubhārā jaa.e
ham jidhar jaa.eñ udhar un kā nazārā jaa.e
aapsī rishtoñ kī ḳhushbū ko koī naam na do
is taqaddus ko na kāġhaz par utārā jaa.e
saikḌoñ naam tire aur haiñ be-nām bhī tū
kaun se naam se ab tujh ko pukārā jaa.e
raqs kartī hai lahaktī hai ajab mastī meñ
kashtī-e-dil ke bhañvar meñ jo utārā jaa.e
merī ġhairat ko kisī taur gavārā hī nahīñ
tañg-dastī meñ bhī haath apnā pasārā jaa.e
dil ke so.e hue armānoñ ne añgḌā.ī lī
zindagī aa tujhe shīshe meñ utārā jaa.e
sub.h-e-raushan ko to aanā hai vo aa.egī zarūr
is bharose pe shab-e-ġham ko guzārā jaa.e
aa.ina dekh ke nāhaq ye bigaḌnā kaisā
gard ā.īne pe hai us ko utārā jaa.e
apne purkhoñ kī ināyāt kī tāzīm karo
ye hai vo qarz jo sadiyoñ na utārā jaa.e
aaj ke daur meñ vājib hai yahī 'chāñd' ki ham
saath deñ us kā jidhar vaqt kā dhārā jaa.e
Top Urdushayar.com