havā o abr ko āsūda-e-mafhūm kar dekhūñ
shurūa-e-fasl-e-gul hai un laboñ ko chuum kar dekhūñ
kahāñ kis aa.ine meñ kaun sā chehra damaktā hai
zarā hairat-sarā-e-āb-o-gil meñ ghuum kar dekhūñ
mire siine meñ dil hai yā koī shahzāda-e-ḳhud-sar
kisī din us ko tāj-o-taḳht se mahrūm kar dekhūñ
guzargāheñ jahāñ par ḳhatm hotī haiñ vahāñ kyā hai
koī rah-rav palaT kar aa.e to ma.alūm kar dekhūñ
bahut din dasht-o-dar meñ ḳhaak uḌāte hue 'sarvat'
ab apne sehn meñ apnī fazā meñ jhuum kar dekhūñ