ye jo phuuT bahā hai dariyā phir nahīñ hogā
rū-e-zamīñ par manzar aisā phir nahīñ hogā
zard gulāb aur ā.īnoñ ko chāhne vaalī
aisī dhuup aur aisā saverā phir nahīñ hogā
ghāyal panchhī terī kunj meñ aan girā hai
is panchhī kā dūsrā pherā phir nahīñ hogā
maiñ ne ḳhud ko jam.a kiyā pachchīs baras meñ
ye sāmān to mujh se yakjā phir nahīñ hogā
shahzādī tire māthe par ye zaḳhm rahegā
lekin is ko chūmne vaalā phir nahīñ hogā
'sarvat' tum apne logoñ se yuuñ milte ho
jaise un logoñ se milnā phir nahīñ hogā